Dilrubaa, nam huye rukhsaar ko kaisey bhooluun?
Beyzubaan hi huye izhaar ko kaisey bhooluun?
Naazneenoun ki shoukhiyon pai log martey hain:
Alwidaa ho chukey gamkhwaar ko kaisey bhooluun?
Hamnawaayee thee, shaakh-o-gul see aashnaayee thee;
Us azeezee key sarokaar ko kaisey bhooluun?
Tum nahin zad mein: kaho, ab uyoon kyaa deykheyn?
Zeest key dour mein, ab yaar ko kaisey bhooluun?
Zarrey-zarrey mein nihaan muttahid hai paikar sey;
Baatinee noor key us pyaar ko kaisey bhooluun?
Mein namaazee to nahin huun, ki, khudaa sey maangoon;
Yaar is–paar sey, us paar ko kaisey bhooluun?
Ab, 'abd', unko pukaaruun bhi, woh na aayengey;
Aakhiree unkee us pukaar ko kaisey bhooluun?
- abd bundeli
Waah waah.. bahut hi khoobsurat likha hai aapney Abd ji..