Chaha Hai Tumen Zindagi Se Zyda
Miloge Ek Din Kar Loh Tum Wada
Ab Tanhai Se Ladte Tak Chuke Hain Hum
Paas Aakar Phir Na Door Jaana Humse Dubara..
nice thread friends
Bheegi ankhon se usne pukaara hi to tha
Maine na jaana vo khamosh ishaara hi to tha
Main anjaan hi raha uske jazbaaton se
Woh nazar me Jhilmilata sitaara hi to tha
Uska kaandhe par sar rakh ke chalnaa
Milaa ulfat ko zaraa sahaara hi to tha
Kiya usne jab jab humse izhaar-e-mohabbat
Laa na paye nazdikiya kasoor hamaara hi to tha
Ab kisi aur ki bagia ko mehkaa rahi hai vo
Maine usse dil ke aaine me utaara hi to tha
Judaai ke palon me jaanaa mohabbat ko
Paane ki khwaish me 'ishk' baazi haara hi to tha...........nm